Ek Chehra jo mere khawab saja deta hai,
Mujh ko mere hi khayalon main sada deta hai,
wo mera kon hai maloom nahi hai lekin,
Jab bhi milta hai to pehlu main jaga deta hai,
Main jo ander se kabhi toot k bikhron,
wo mujh ko thamnay k liye hath barh deta hai,
Main jo tanha kabhi chupkay say bhi rona chahon,
to dil k darwazay ki zanjeer hila deta hai,
Uski qurbat main hai kya baat na-janay
El lamhay k liye sadiyon ko bhula deta hai.