Mujhe woh door apne se kabbhi hone nahi deta.
vo meri neend kaa dushman mujhe sone nahi deta.
woh jiss sey pyaar hota hai wohi ham ko rulata hai.
jo humse pyaar karta hai hamain rone nahi deta.
bicharrtey waqt tum ne ye kaha tha “hans ke ji lena”.
tumhara be’reham waadaa mujhe rone nahi deta.
ajab ik kash’ma’kash me usne mujh ko daal rakha hai.
vo meraa hai magar apna mujhe hone nahi deta.
ye sach hai zamane se alag gumsum sa rehta hoon.
magar main aap ko aankhon se gum hone nahi deta.
zamaaney se alag sab se chupa kar dil ma rakha hai.
khazaana aap ki yaadoon ka main khone nahi deta.
khuda ne kuch na kuch mutrib hamare bas main rakha hai.
magar woh apni marzi ke bina hone nahi deta.