Mujhay aksar woh kehti thi mohabbat kuch nahi hoti
Hijr ka khauf be-matlab vasal ke khawab be-maani
Koi soorat nigahon may kahan din raat rehti hay
Usay kion khamoshi kahiye ke jis may baat rehti hay
Yeh aansoo be-zuban aansoo bhala kia bol saktay hain
Kahan dil may kisi ki yaad se toofaan uthtay hain
Kahan palkon ke saaye may nami din raat rehti hay
Kahan hoti hain woh aankhain jahan barsaat rehti hay
Mujhay aksar woh kehti thi mohabbat kuch nahi hoti
Magar jab aaj barson baad may ne us ko dekha hay
Ke us ki jheel aankhon may hijr ka khauf rehta hay
Wasal ke khuwab rehte hain wahan barsaat rehti hay
Youn lagta hay kayee raaton se woh soyee nahi shayad
Youn lagta hay kisi ki yaad ab din raat rehti hay
Or us ki narm palkon ke haseen saaye bhi geelay hain
Or us ki khamoshi esi ke jis may baat rehti hay
Mujhay ab woh nahi kehti mohabbat kuch nahi hoti
Ke ab shayad mohabbat ki woh sab ramzain samajhti hay.